Sunday 12 February 2012

safar-e-shab me jaagne ki adate'n de gaya.....

safar-e-shab me jaagne ki adate'n de gaya.....
dil-e-mujtar hume'n kis kadar tanha kar gaya

mahfilo'n me dhoondh rahe hain tanhaai aj hum......
'wo' is kadar yun hume'n logo se juda kar gaya

hum aaj bhi talash rahe hai'n na jane kyun unko.....
jo kuch lamha pahle hi hume'n duniya me akela kar gaya

tahaarat aaj bhi rishta hai humara, zamane se juda....
fir kyu'n 'wo' hume'n ruswa humari hi nigaaho'n me kar gaya

ik hastrat-e-ibtisaam unki, chor di duniya jiski khatir.....
'wo' ek pal me hume'n mahroom baaghay jinaan se kar gaya

ab faqat intzaar ,,ajal ka hai humko ......
'wo' agle janma me milne ka wada jo kar gaya



No comments:

Post a Comment